Ek Martaba Ek Budhi MAA Apne
Jawaan Bete Ke Saath Ek Jagah Par Baithi Thi,
MAA Ne Ek Kabutar Ke Jhund Ki
Taraf Ishara Kiya Aur Pucha BETA
Yeh Kya Hai ? ? ?
BETE Ne Jawab Diya KABUTAR.
Thodi Der Baad MAA Ne fhir Puchha, Beta Yeh Kya Hai ? ? ?
Bete Ne Kaha Yeh Kabutar Hai,
Fhir Se MAA Ne Puchha Beta Ye Kya Hai ? ? ?
Is Baar Beta chaila kar Zor Se Bola Kitni Baar Kahu Ye ki Kabutar Hai,
Ye Sunkar MAA Ki Aankho Se
Aasu Nikal Aaye, fhir MAA Ne Pyaar Se Uske Sar Pe Haath Rakha Aur Kaha :
"BETA Jab Tu 3 Saal Ka Tha Tab Isi Jagah Par Tune Mujh Se Yehi
Sawal 100 Martaba Pucha Tha,
Aur Maine Bhi 100 Martaba Tera
Matha Chum Kar Tujhe 100
Martaba yehi Jawab Diya Tha,
Kuch Log Apni MAA Se Kehte Hai Ki Maa Tu Kuch Nahi Samajhti,
Maa Tumhe Kuch Paata Nahi
Tumhe Aisa Nahi Karna Chahiye,
Unhe Yeh Baat Nahi Bhulna Chahiye Ki Unki Maa Us Waqt Bhi
Unki Baat Samajh Jaati Thi,
Jab Uski zubaan Ne Kuch Sikha Bhi Na Tha,
Sirf Apne Isharo Se Wo Unki Bhukh Pyaas Ka Andaza Laaga Laeti Thi,
.
KHUDA Ne Bhi MAA Ki Kya Misaal Di hai,
Jannat utha kar Maa ke Kadmo me Daal di
No comments:
Post a Comment